Waqt kam padne ki tadap mein jhulas mat
Waqt keh raha hai thehra hu main tere liye, jaldi kaha jaana hai
Dheeme aanch mein gosht naram banaana seekh
Mooh mein to tere kankad bhi aana hai
Kisi ka intezaar karna seekh ya dhoond hamsafar ko
Daud kar bhi tujhe jahannum hi to jaana hai
Pehen taj-e-takht sawaar khudko murasson se
Bhool gaya, amma ke liye kaan ke baale laana hai?
No comments:
Post a Comment