Nasamajh hoon isse waaqif ho jana chahiye tha aapko
Meri taareef - e-samajhdaari ko bech bhi paa rahe ho tum?
Na eenth uthane ki kaabiliyat na ghar chalane ki haisiyat
Mere awaargi ko masroofiyat dikhla rahe ho tum?
Begaane aashiq tumhare liye jaan de ko tayar ho jaye, theek
Meri saadgi ko deewaangi bata rahe ho tum?
Mere chalne pe nishaan tak nahi padte zameen par
Duniya ko mera ehsaas dila bhi pa rahe ho tum?