Log haraam ka paisa khaakar haj ko chal pade
Ya rab jab hamara milna ho tab yeh rasta mujhe dikhla de
Yeh duniya ka matlab koi mujhe bata de
Awara ashiq mujhe kahe log tum amir ban fir rahi ho
ae taajira - e -pyaar tune mera pyaar kyun bika diya
Naam mera sunte hi log angaar thookte hai mujh par
ae masiha - e - imaan tune mera imaan kyun luta diya
Tarqeeb - e - maut galat tha lekin harf-e-zahar tha tumhara
ae kashida - e - rooh tune mujhe fanda kyun thama diya
Waqt -e- janaaza-ba-dosh hai 4 log tak nahi dikh rahe
ae kaatiba - e - wajood aisa bhi kya naam mita diya
Nasamajh hoon isse waaqif ho jana chahiye tha aapko
Meri taareef - e-samajhdaari ko bech bhi paa rahe ho tum?
Na eenth uthane ki kaabiliyat na ghar chalane ki haisiyat
Mere awaargi ko masroofiyat dikhla rahe ho tum?
Begaane aashiq tumhare liye jaan de ko tayar ho jaye, theek
Meri saadgi ko deewaangi bata rahe ho tum?
Chahne waale aapke bahut honge lekin ummeed mein khade hum hain
Aap apnaye ya thukraaye lakeer bhi fir bhi khade hum hain.
Chahne waale aapke bahut honge
Ummeedwaar to sirf ham hain.
Ghaav bane doosron ke nazar se
Aapki dua hi marham hain
Un teekhi kataar-i-nazar se satark rahe
Deewar ban khade sirf ham hai.