Saaqi aur kasai mein farak kar sako to kar lo
May ke nashe mein mujhse guftagu kar sako to kar lo
Aaj mere alfaazon ko qaid ki zanjeer bana diye
Kisi roz inqilaab ki taaveez ban baati jayengi
Waqt kam padne ki tadap mein jhulas mat
Waqt keh raha hai thehra hu main tere liye, jaldi kaha jaana hai
Dheeme aanch mein gosht naram banaana seekh
Mooh mein to tere kankad bhi aana hai
Kisi ka intezaar karna seekh ya dhoond hamsafar ko
Daud kar bhi tujhe jahannum hi to jaana hai
Pehen taj-e-takht sawaar khudko murasson se
Bhool gaya, amma ke liye kaan ke baale laana hai?